main hadd-e-la-makani chahta hun
maiñ hadd-e-lā-makānī chāhtā huuñ
ye kaisī sargirānī chāhtā huuñ
tirī āñkhoñ meñ paanī chāhtā huuñ
bas itnī mehrbānī chāhtā huuñ
jise sunte hī so jaate the bachche
vahī bhūlī kahānī chāhtā huuñ
ye hai merī tabī.at kā taqāzā
har ik pal imtihānī chāhtā huuñ
nahīñ lagtā mirā ab shahr meñ jī
haqīqat dāstānī chāhtā huuñ
ka.ī rātoñ se niiñd aa.ī nahīñ hai
maiñ kuchh jhūTī kahānī chāhtā huuñ
mirī is sādgī kī daad to de
tirā va.ada zabānī chāhtā huuñ
koī gum-karda-e-manzil mile to
maiñ apnā naqsh-e-sānī chāhtā huuñ
tumhārī guftugū meñ 'shān' sāhab
ġhazal jaisī ravānī chāhtā huuñ
main hadd-e-la-makani chahta hun
ye kaisi sargirani chahta hun
teri aankhon mein pani chahta hun
bas itni mehrbani chahta hun
jise sunte hi so jate the bachche
wahi bhuli kahani chahta hun
ye hai meri tabiat ka taqaza
har ek pal imtihani chahta hun
nahin lagta mera ab shahr mein ji
haqiqat dastani chahta hun
kai raaton se nind aai nahin hai
main kuchh jhuTi kahani chahta hun
meri is sadgi ki dad to de
tera wada zabani chahta hun
koi gum-karda-e-manzil mile to
main apna naqsh-e-sani chahta hun
tumhaari guftugu mein 'shan' sahab
ghazal jaisi rawani chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.