main hairan tha manzar ki hairani par
maiñ hairān thā manzar kī hairānī par
phuul khile the bahte hue jab paanī par
mere kapḌe dekh ke miTTī bol paḌī
ghaas ugaao merī bhī uryānī par
maiñ ne terā naam likhā jab tāroñ par
chāñd hañsā thā merī is nādānī par
yaad karo jis raat ikaTThe baiThe the
ghanToñ baat chalī thī raat kī raanī par
dekhe haiñ kuchh dekhe bhāle log yahāñ
kis ne ghar ābād kiyā vīrānī par
maiñ ne ik sajde meñ raat guzārī hai
yuuñ hī nahīñ ye chāñd banā peshānī par
main hairan tha manzar ki hairani par
phul khile the bahte hue jab pani par
mere kapDe dekh ke miTTi bol paDi
ghas ugao meri bhi uryani par
main ne tera nam likha jab taron par
chand hansa tha meri is nadani par
yaad karo jis raat ikaTThe baiThe the
ghanTon baat chali thi raat ki rani par
dekhe hain kuchh dekhe bhaale log yahan
kis ne ghar aabaad kiya virani par
main ne ek sajde mein raat guzari hai
yun hi nahin ye chand bana peshani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.