main hans raha tha garche mere dil mein dard tha
maiñ hañs rahā thā garche mire dil meñ dard thā
ye raaz khul gayā to mirā chehra zard thā
achchhā huā ki aap ne dāman jhaTak diyā
merā vajūd aap ke dāman pe gard thā
ḳhud apnī zaat ke na kisī kaam aa sake
vo log jin ke dil meñ zamāne kā dard thā
kitne uruuj par thī mirī shiddat-e-talab
tum mil ga.e to shauq kā har jazba sard thā
tanhā.iyoñ meñ jis ke bane rāzdār tum
goyā vo maiñ na thā koī āvāra-gard thā
main hans raha tha garche mere dil mein dard tha
ye raaz khul gaya to mera chehra zard tha
achchha hua ki aap ne daman jhaTak diya
mera wajud aap ke daman pe gard tha
KHud apni zat ke na kisi kaam aa sake
wo log jin ke dil mein zamane ka dard tha
kitne uruj par thi meri shiddat-e-talab
tum mil gae to shauq ka har jazba sard tha
tanhaiyon mein jis ke bane raazdar tum
goya wo main na tha koi aawara-gard tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.