main haqiqat mein kabhi ghair pe mail na hua
maiñ haqīqat meñ kabhī ġhair pe maa.il na huā
na milā us se jo vaj.h-e-ḳhalish-e-dil na huā
umr-bhar terī tamannā.eñ mire dil meñ rahīñ
dil magar terī tamannāoñ ke qābil na huā
ho ga.ī dard ye darmāñ-talabī hī ya.anī
tum se milne se ba-juz ranj ke hāsil na huā
na ho sharminda jafā kar ke maiñ qurbāñ tere
ye ināyat bhī bahut hai ki tū ġhāfil na huā
sham-e-kushta kā vo manzar vo vidā.a-e-mahfil
ḳhair ye guzrī ki parvāna-e-mahfil na huā
log samjhā kiye har rang meñ shāmil mujh ko
varna 'maikash' maiñ kisī rang meñ shāmil na huā
main haqiqat mein kabhi ghair pe mail na hua
na mila us se jo wajh-e-KHalish-e-dil na hua
umr-bhar teri tamannaen mere dil mein rahin
dil magar teri tamannaon ke qabil na hua
ho gai dard ye darman-talabi hi yani
tum se milne se ba-juz ranj ke hasil na hua
na ho sharminda jafa kar ke main qurban tere
ye inayat bhi bahut hai ki tu ghafil na hua
sham-e-kushta ka wo manzar wo widaa-e-mahfil
KHair ye guzri ki parwana-e-mahfil na hua
log samjha kiye har rang mein shamil mujh ko
warna 'maikash' main kisi rang mein shamil na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.