main har ek baat kahan kahan nahin bhulta
maiñ har ek baat kahāñ kahāñ nahīñ bhūltā
magar ek shām-e-firāq-e-jāñ nahīñ bhūltā
vo jo roz detā thā sub.h-e-nau kī bashārateñ
vo havā kā mauja-e-mehrbāñ nahīñ bhūltā
vo jise bhulā ke mujhe thā ḳhud ko talāshnā
vahī ek shāhid-e-gul-ruḳhāñ nahīñ bhūltā
vo jo charḳh-e-jāñ pe bas ek pal ko jalā bujhā
vahī ik shahāb-e-sharar-nishāñ nahīñ bhūltā
kabhī ḳhvāb meñ kabhī ratjagoñ ke azaab meñ
vo sitāra-e-sar-e-kahkashāñ nahīñ bhūltā
main har ek baat kahan kahan nahin bhulta
magar ek sham-e-firaq-e-jaan nahin bhulta
wo jo roz deta tha subh-e-nau ki bashaaraten
wo hawa ka mauja-e-mehrban nahin bhulta
wo jise bhula ke mujhe tha KHud ko talashna
wahi ek shahid-e-gul-ruKHan nahin bhulta
wo jo charKH-e-jaan pe bas ek pal ko jala bujha
wahi ek shahab-e-sharar-nishan nahin bhulta
kabhi KHwab mein kabhi ratjagon ke azab mein
wo sitara-e-sar-e-kahkashan nahin bhulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.