main har jaanib naya naqsha talashunga
maiñ har jānib nayā naqsha talāshūñgā
chalūñgā to koī apnā talāshūñgā
jo de paa.e ḳhabar mujh ko mere kal kī
maiñ calendar koī aisā talāshūñgā
bas us ke hī ta.āqub meñ rahā har pal
alag ab maiñ koī rasta talāshūñgā
ki ab to thak gayā saayā bhī ye merā
kisī kā saath maiñ kitnā talāshūñgā
mujhe bhī saath le chal 'ahd' tū apne
kahīñ par duur kuchh achchhā talāshūñgā
main har jaanib naya naqsha talashunga
chalunga to koi apna talashunga
jo de pae KHabar mujh ko mere kal ki
main calendar koi aisa talashunga
bas us ke hi taaqub mein raha har pal
alag ab main koi rasta talashunga
ki ab to thak gaya saya bhi ye mera
kisi ka sath main kitna talashunga
mujhe bhi sath le chal 'ahd' tu apne
kahin par dur kuchh achchha talashunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.