main hare mausamon mein jalta raha
maiñ hare mausamoñ meñ jaltā rahā
ḳhushbuoñ se dhuāñ nikaltā rahā
aag par hoñT rakh diye the kabhī
āḳhirī saañs tak pighaltā rahā
maiñ akelā bhī kārvāñ kī tarah
rāstoñ ke baġhair chaltā rahā
hādse mujh ko pesh aate rahe
aur zamāne kā jī bahaltā rahā
merī āvāz munharif na huī
vaqt kā faisla badaltā rahā
zindagī mujh ko qatl kartī rahī
maut kī vādiyoñ meñ paltā rahā
kārobār-e-suḳhan kiyā maiñ ne
yā 'muzaffar' lahū ugaltā rahā
main hare mausamon mein jalta raha
KHushbuon se dhuan nikalta raha
aag par honT rakh diye the kabhi
aaKHiri sans tak pighalta raha
main akela bhi karwan ki tarah
raston ke baghair chalta raha
hadse mujh ko pesh aate rahe
aur zamane ka ji bahalta raha
meri aawaz munharif na hui
waqt ka faisla badalta raha
zindagi mujh ko qatl karti rahi
maut ki wadiyon mein palta raha
karobar-e-suKHan kiya main ne
ya 'muzaffar' lahu ugalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.