main harf-e-ibtida hun
maiñ harf-e-ibtidā huuñ
musalsal ik sadā huuñ
sahar kī aarzū meñ
kahāñ tak aa gayā huuñ
taḳhayyul huuñ usī kā
maiñ jis kā naqsh-e-pā huuñ
zamāna dekhtā hai
maiñ jis ko dekhtā huuñ
mujhe ye hosh kab hai
burā huuñ yā bhalā huuñ
use suljhā.ūñ kaise
maiñ ḳhud uljhā huā huuñ
main harf-e-ibtida hun
musalsal ek sada hun
sahar ki aarzu mein
kahan tak aa gaya hun
taKHayyul hun usi ka
main jis ka naqsh-e-pa hun
zamana dekhta hai
main jis ko dekhta hun
mujhe ye hosh kab hai
bura hun ya bhala hun
use suljhaun kaise
main KHud uljha hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.