main hawa hun kahan watan mera
maiñ havā huuñ kahāñ vatan merā
dasht merā na ye chaman merā
maiñ ki har chand ek ḳhāna-nashīñ
anjuman anjuman suḳhan merā
barg-e-gul par charāġh sā kyā hai
chhū gayā thā use dahan merā
maiñ ki TuuTā huā sitāra huuñ
kyā bigāḌegī anjuman merā
har ghaḌī ik nayā taqāzā hai
dard-e-sar ban gayā badan merā
main hawa hun kahan watan mera
dasht mera na ye chaman mera
main ki har chand ek KHana-nashin
anjuman anjuman suKHan mera
barg-e-gul par charagh sa kya hai
chhu gaya tha use dahan mera
main ki TuTa hua sitara hun
kya bigaDegi anjuman mera
har ghaDi ek naya taqaza hai
dard-e-sar ban gaya badan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.