main hawa ke dosh pe rakkha hua
maiñ havā ke dosh pe rakkhā huā
patta huuñ par shāḳh se TuuTā huā
raat kī gullak meñ kartā jam.a huuñ
puure din kā jo bhī hai joḌā huā
titliyāñ akasr haiñ mujh se pūchhtī
paas mere phuul thā jo kyā huā
vo koī saaya nahīñ thā maiñ hī thā
dhuup terā ḳhvāh-maḳhvāh harjā huā
pyaas apnī jaḌ se maiñ ne ḳhatm kī
dariyā hoñToñ pe rakhā jaltā huā
zehn to mahfūz hotā par ye kyā
ye nagar bhī hai tirā luuTā huā
main hawa ke dosh pe rakkha hua
patta hun par shaKH se TuTa hua
raat ki gullak mein karta jama hun
pure din ka jo bhi hai joDa hua
titliyan akasr hain mujh se puchhti
pas mere phul tha jo kya hua
wo koi saya nahin tha main hi tha
dhup tera KHwah-maKHwah harja hua
pyas apni jaD se main ne KHatm ki
dariya honTon pe rakha jalta hua
zehn to mahfuz hota par ye kya
ye nagar bhi hai tera luTa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.