main hi bolunga na tu bolega
maiñ hī bolūñgā na tū bolegā
be-gunāhoñ kā lahū bolegā
mausam-e-gul meñ ye ejāz-e-junūñ
ek ik tār-e-rafū bolegā
mai-kada bhī hai karāmat kā maqām
dast-e-sāqī meñ subū bolegā
pās-e-paimān-e-mohabbat hai mujhe
chup raheñ dost adū bolegā
maiñ bad-aḳhlāq nahīñ huuñ mujh se
kyuuñ but-e-arbada-jū bolegā
jurm-e-haq-goī meñ sar jaane par
merā ik ik bun-e-mū bolegā
huuk uThegī mire dil se 'rāġhib'
jab papīhā lab-e-jū bolegā
main hi bolunga na tu bolega
be-gunahon ka lahu bolega
mausam-e-gul mein ye ejaz-e-junun
ek ek tar-e-rafu bolega
mai-kada bhi hai karamat ka maqam
dast-e-saqi mein subu bolega
pas-e-paiman-e-mohabbat hai mujhe
chup rahen dost adu bolega
main bad-aKHlaq nahin hun mujh se
kyun but-e-arbada-ju bolega
jurm-e-haq-goi mein sar jaane par
mera ek ek bun-e-mu bolega
huk uThegi mere dil se 'raghib'
jab papiha lab-e-ju bolega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.