main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala
maiñ hī dastak dene vaalā maiñ hī dastak sunñe vaalā
apne ghar kī barbādī par maiñ hī sar ko dhunñe vaalā
jīvan kā sañgīt achānak antim sur ko chhū letā hai
hañstā hī rahtā hai phir bhī mere andar marne vaalā
rishte bosīda dīvāroñ ke jaise Dhah jaa.eñ pal meñ
lekin maiñ bhī dīvāroñ ke malbe se sar chunñe vaalā
lafzoñ ke paañv ko chhū kar āshirvādī lahje meñ
merī ġhazloñ meñ bhī ik jazba hai dil ko chhūne vaalā
thoḌī sī mohlat miltī to pāpoñ se maiñ hī bhar letā
jīvan kā ik suffa bhī thā kaise saada rahne vaalā
maiñ apne dukh ke sāgar meñ koī patthar phekūñ kaise
barsoñ tak nā-mumkin hai vo lauTe lahreñ ginñe vaalā
main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala
apne ghar ki barbaadi par main hi sar ko dhunne wala
jiwan ka sangit achanak antim sur ko chhu leta hai
hansta hi rahta hai phir bhi mere andar marne wala
rishte bosida diwaron ke jaise Dhah jaen pal mein
lekin main bhi diwaron ke malbe se sar chunne wala
lafzon ke panw ko chhu kar aashirwadi lahje mein
meri ghazlon mein bhi ek jazba hai dil ko chhune wala
thoDi si mohlat milti to papon se main hi bhar leta
jiwan ka ek suffa bhi tha kaise sada rahne wala
main apne dukh ke sagar mein koi patthar phekun kaise
barson tak na-mumkin hai wo lauTe lahren ginne wala
- Book : Ehsas Ki Hijrat (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.