main hi kashti bhi hun mallah bhi tufan bhi hun
maiñ hī kashtī bhī huuñ mallāh bhī tūfān bhī huuñ
aur ab Duub rahā huuñ to pareshān bhī huuñ
maiñ jo auroñ ko dikhātā huuñ is ā.īne meñ
apnā chehra nazar aayā hai to hairān bhī huuñ
haal ye kaisā faqīroñ sā banā rakkhā hai
kaun kah degā kisī vaqt kā sultān bhī huuñ
bāryābī kī tamannā meñ paḌā huuñ dar par
baiThā hotā to samajh letā ki darbān bhī huuñ
be-bulā.e chalā aatā maiñ na kahtā tujh se
aaj to mehrbāñ ho jā tirā mehmān bhī huuñ
aaj tak merī ġhazal ne nahīñ pahchānā mujhe
jabki shā.ir hī nahīñ sāhab-e-dīvān bhī huuñ
main hi kashti bhi hun mallah bhi tufan bhi hun
aur ab Dub raha hun to pareshan bhi hun
main jo auron ko dikhata hun is aaine mein
apna chehra nazar aaya hai to hairan bhi hun
haal ye kaisa faqiron sa bana rakkha hai
kaun kah dega kisi waqt ka sultan bhi hun
baryabi ki tamanna mein paDa hun dar par
baiTha hota to samajh leta ki darban bhi hun
be-bulae chala aata main na kahta tujh se
aaj to mehrban ho ja tera mehman bhi hun
aaj tak meri ghazal ne nahin pahchana mujhe
jabki shair hi nahin sahab-e-diwan bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.