main hi matlub KHud hun tu hai abas
maiñ hī matlūb ḳhud huuñ tū hai abas
aaj se terī justujū hai abas
sādgī meñ hai laakh laakh banāv
aa.ina tere rū-ba-rū hai abas
mujh ko donoñ se kuchh mazā na milā
dil abas dil kī aarzū hai abas
baad aab aag ḳhaak gard-e-rūh
zisht-rūyoñ meñ ḳhūb-rū hai abas
tūr-o-mūsā haiñ zarre zarre meñ
kab tirā jalva chaar sū hai abas
lipTe haiñ ḳhvāb meñ vo dushman se
haath yaañ zīnat-e-gulū hai abas
vaah 'mā.il' ḳhudī meñ zikr-e-anā
chup raho tum ye guftugū hai abas
main hi matlub KHud hun tu hai abas
aaj se teri justuju hai abas
sadgi mein hai lakh lakh banaw
aaina tere ru-ba-ru hai abas
mujh ko donon se kuchh maza na mila
dil abas dil ki aarzu hai abas
baad aab aag KHak gard-e-ruh
zisht-ruyon mein KHub-ru hai abas
tur-o-musa hain zarre zarre mein
kab tera jalwa chaar su hai abas
lipTe hain KHwab mein wo dushman se
hath yan zinat-e-gulu hai abas
wah 'mail' KHudi mein zikr-e-ana
chup raho tum ye guftugu hai abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.