main hi nahin hun barham us zulf-e-kaj-ada se
maiñ hī nahīñ huuñ barham us zulf-e-kaj-adā se
Tuk muñh tirā jo paa.eñ uljheñ abhī havā se
tum ne nikālne meñ kuchh kam na kiiñ jafā.eñ
ab tak jo tham rahe haiñ ham apnī hī vafā se
pahlī nigah meñ dil par barchhī sī lag ga.ī hai
pahuñche the intihā ko ham us kī ibtidā se
rakhnā qadam zamīñ par Tuk dekh kar pyāre
dil raah meñ paḌe haiñ lākhoñ ke naqsh-e-pā se
jā ai tabīb yaañ se itnā nahīñ samajhtā
bīmārī-e-mohabbat kis kī ga.ī davā se
maiñ āshiq-e-balā huuñ kartā huuñ us ko sajda
ḳhāk-e-qadam ko us kī jo aao karbalā se
mash.hūr thī buzurgī un kī sabhoñ se lekin
apne ta.iiñ ta.āruf chandāñ na thā ziyā se
aksar galī se us kī dekhā thā maiñ ne jaate
ho ga.e the is sabab se kuchh sūrat-āshnā se
kal un ko maiñ ne dekhā sar nañge pā-barahna
jaama jo hai galī meñ sau TukḌe jā-ba-jā se
dar-parda yuuñ maiñ un se pūchhā ki qibla-e-man
kyuuñ aaj is qadar haiñ āzurda-o-ḳhafā se
mahjūb se vo ho kar kahne lage na pūchho
mar jaa.eñ yā ilāhī chhūTeñ kahīñ balā se
ye turfa mājrā hai ik jā pe dil diyā hai
par qahr haiñ vahāñ ke lauñDe zarā zarā se
itnī sī umr meñ ye ayyāriyāñ haiñ karte
lete haiñ dil ko pahle de de bahut dilāse
jab dekhte haiñ aayā ab iḳhtiyār meñ dil
jo dekhiyo to phir pesh aate haiñ is adā se
maiñ ne kahā ki hazrat aap apnī tarf dekheñ
jo in butoñ se hogā so hogā vo ḳhudā se
be-iḳhtiyār ho kar bole ki sach hai sāhab
vāqif nahīñ hue ho ishq-e-havas-fazā se
dariyā ke rahne vaale kyā jāneñ is asar ko
paanī kī qadr pūchho un se jo haiñ piyāse
main hi nahin hun barham us zulf-e-kaj-ada se
Tuk munh tera jo paen uljhen abhi hawa se
tum ne nikalne mein kuchh kam na kin jafaen
ab tak jo tham rahe hain hum apni hi wafa se
pahli nigah mein dil par barchhi si lag gai hai
pahunche the intiha ko hum us ki ibtida se
rakhna qadam zamin par Tuk dekh kar pyare
dil rah mein paDe hain lakhon ke naqsh-e-pa se
ja ai tabib yan se itna nahin samajhta
bimari-e-mohabbat kis ki gai dawa se
main aashiq-e-bala hun karta hun us ko sajda
KHak-e-qadam ko us ki jo aao karbala se
mashhur thi buzurgi un ki sabhon se lekin
apne tain taaruf chandan na tha ziya se
aksar gali se us ki dekha tha main ne jate
ho gae the is sabab se kuchh surat-ashna se
kal un ko main ne dekha sar nange pa-barahna
jama jo hai gali mein sau TukDe ja-ba-ja se
dar-parda yun main un se puchha ki qibla-e-man
kyun aaj is qadar hain aazurda-o-KHafa se
mahjub se wo ho kar kahne lage na puchho
mar jaen ya ilahi chhuTen kahin bala se
ye turfa majra hai ek ja pe dil diya hai
par qahr hain wahan ke launDe zara zara se
itni si umr mein ye ayyariyan hain karte
lete hain dil ko pahle de de bahut dilase
jab dekhte hain aaya ab iKHtiyar mein dil
jo dekhiyo to phir pesh aate hain is ada se
main ne kaha ki hazrat aap apni tarf dekhen
jo in buton se hoga so hoga wo KHuda se
be-iKHtiyar ho kar bole ki sach hai sahab
waqif nahin hue ho ishq-e-hawas-faza se
dariya ke rahne wale kya jaanen is asar ko
pani ki qadr puchho un se jo hain piyase
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.