main hijr-zad hun mujhe sahra dikhai de
maiñ hijr-zād huuñ mujhe sahrā dikhā.ī de
tū aañkh bhar ke dekhe to dariyā dikhā.ī de
aisā tilism-sāz hai gar phūñk maar de
saarā jahān aañkh ko andhā dikhā.ī de
ye ehtimām qatl kā kuchh is tarah se ho
maqtal kā rāsta mujhe sastā dikhā.ī de
us ko hī diin maan lo yuuñ bahs mat karo
jo bhī nabī kī pusht pe baiThā dikhā.ī de
is ko ḳhizāñ ke daur meñ bāġhī samajh ke chuum
jo bhī shajar pe āḳhirī pattā dikhā.ī de
yuuñ ban sañvar ke mil mujhe kuchh to ḳhayāl kar
aisā dikhā.ī de mujhe vaisā dikhā.ī de
main hijr-zad hun mujhe sahra dikhai de
tu aankh bhar ke dekhe to dariya dikhai de
aisa tilism-saz hai gar phunk mar de
sara jahan aankh ko andha dikhai de
ye ehtimam qatl ka kuchh is tarah se ho
maqtal ka rasta mujhe sasta dikhai de
us ko hi din man lo yun bahs mat karo
jo bhi nabi ki pusht pe baiTha dikhai de
is ko KHizan ke daur mein baghi samajh ke chum
jo bhi shajar pe aaKHiri patta dikhai de
yun ban sanwar ke mil mujhe kuchh to KHayal kar
aisa dikhai de mujhe waisa dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.