main hun apne kamre mein jaise ajnabi tanha
maiñ huuñ apne kamre meñ jaise ajnabī tanhā
aap bhī chale aate is taraf kabhī tanhā
har taraf havādis kī maujzan havā.eñ haiñ
kis se kis se Takrā.e ek aadmī tanhā
jā ke bas koī itnā ahraman se kah detā
vaqt kā mudāvā hai aaj raushnī tanhā
dekhne meñ duniyā hai ik hujūm-e-dil-dārāñ
sochiye to hotī hai har kī zindagī tanhā
har taraf sisakne kī aa rahī thiiñ āvāzeñ
ro rahī thī sahrā meñ raat chāñdnī tanhā
shahr shahr maskan hai zulmatoñ kā ab yaaro
gaañv gaañv raqsāñ hai aaj tīrgī tanhā
aap ne na pahchānā haañ vahī to pāshā thā
vo ḳhamosh gum-sum sā ek aadmī tanhā
main hun apne kamre mein jaise ajnabi tanha
aap bhi chale aate is taraf kabhi tanha
har taraf hawadis ki maujzan hawaen hain
kis se kis se Takrae ek aadmi tanha
ja ke bas koi itna ahraman se kah deta
waqt ka mudawa hai aaj raushni tanha
dekhne mein duniya hai ek hujum-e-dil-daran
sochiye to hoti hai har ki zindagi tanha
har taraf sisakne ki aa rahi thin aawazen
ro rahi thi sahra mein raat chandni tanha
shahr shahr maskan hai zulmaton ka ab yaro
ganw ganw raqsan hai aaj tirgi tanha
aap ne na pahchana han wahi to pasha tha
wo KHamosh gum-sum sa ek aadmi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.