main hun ek kaghaz-e-qalam-bezar
maiñ huuñ ik kāġhaz-e-qalam-bezār
bād-e-sarsar meñ barg-e-nam bezār
arabī log haiñ to hone do
vo ḳhudā to nahīñ ajam-bezār
dekh kar bol chehre-bushre se
nazar aatā huuñ kyā sitam-bezār
ai gurezān-e-ābla-pā.ī!
dasht-e-majnūn hai qadam-bezār
ik dil-e-muztarib hai pahlū meñ
aur siina hai ek-dam bezār
rashk-e-shāna se pech khātā huuñ
maiñ giraftār-e-zulf-e-ḳham bezār
mustarad daftar-e-tarab meñ huā
ek ummīd-vār-e-ġham bezār
mujh se bezār kul jahāñ hai 'shafaq'!
maiñ bhī ḳhud se nahīñ huuñ kam bezār
main hun ek kaghaz-e-qalam-bezar
baad-e-sarsar mein barg-e-nam bezar
arabi log hain to hone do
wo KHuda to nahin ajam-bezar
dekh kar bol chehre-bushre se
nazar aata hun kya sitam-bezar
ai gurezan-e-abla-pai!
dasht-e-majnun hai qadam-bezar
ek dil-e-muztarib hai pahlu mein
aur sina hai ek-dam bezar
rashk-e-shana se pech khata hun
main giraftar-e-zulf-e-KHam bezar
mustarad daftar-e-tarab mein hua
ek ummid-war-e-gham bezar
mujh se bezar kul jahan hai 'shafaq'!
main bhi KHud se nahin hun kam bezar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.