main hun mariz-e-ishq dawai na de mujhe
maiñ huuñ marīz-e-ishq davā.ī na de mujhe
is ġham kī lazzatoñ se rihā.ī na de mujhe
kaif-o-surūr terā chaḌhe mujh pe is qadar
tere alāva kuchh bhī dikhā.ī na de mujhe
masrūf kar de apnī ibādat meñ is qadar
duniyā kā shor-o-ġhul bhī sunā.ī na de mujhe
mushkil baḌā hai ḳhud ke hī ġham ko sañbhālnā
rab se duā hai piir parā.ī na de mujhe
lag jā gale se aa ke mire ab ḳhushī ḳhushī
kar ke vidā.a ranj-e-judā.ī na de mujhe
main hun mariz-e-ishq dawai na de mujhe
is gham ki lazzaton se rihai na de mujhe
kaif-o-surur tera chaDhe mujh pe is qadar
tere alawa kuchh bhi dikhai na de mujhe
masruf kar de apni ibaadat mein is qadar
duniya ka shor-o-ghul bhi sunai na de mujhe
mushkil baDa hai KHud ke hi gham ko sanbhaalna
rab se dua hai pir parai na de mujhe
lag ja gale se aa ke mere ab KHushi KHushi
kar ke widaa ranj-e-judai na de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.