main hun mariz-e-ishq koi chaaragar nahin
maiñ huuñ marīz-e-ishq koī chārāgar nahīñ
maiñ chāhtā huuñ kyā ye kisī ko ḳhabar nahīñ
jis rāste pe chaltā huuñ vo mo'atabar nahīñ
jaatā huuñ kis taraf ko mujhe ḳhud ḳhabar nahīñ
kitne haiñ jo haiñ fikr meñ uqbā ke ġhota-zan
fikr-e-ma.āsh se to kisī ko mafar nahīñ
hālāt mere dekh ke kyoñ tum ho ġham-zada
surḳhī jo aañkh meñ hai vo ḳhūn-e-jigar nahīñ
jis se bhī chāhī maiñ ne madad ġhair ho gayā
is daur meñ to qadr-e-matā.a-e-hunar nahīñ
furqat meñ un kī dil to mirā soḳhta hī thā
āñkheñ bhī ḳhushk ho ga.iiñ ab chashm tar nahīñ
mere alāva ġhair se har dam haiñ ham-kalām
kaise yaqīn kar luuñ ki vo saudāgar nahīñ
daulat thī apne paas to sab log saath the
tanhā hai 'mahshar' aaj koī ham-safar nahīñ
main hun mariz-e-ishq koi chaaragar nahin
main chahta hun kya ye kisi ko KHabar nahin
jis raste pe chalta hun wo mo'atabar nahin
jata hun kis taraf ko mujhe KHud KHabar nahin
kitne hain jo hain fikr mein uqba ke ghota-zan
fikr-e-maash se to kisi ko mafar nahin
haalat mere dekh ke kyon tum ho gham-zada
surKHi jo aankh mein hai wo KHun-e-jigar nahin
jis se bhi chahi main ne madad ghair ho gaya
is daur mein to qadr-e-mataa-e-hunar nahin
furqat mein un ki dil to mera soKHta hi tha
aankhen bhi KHushk ho gain ab chashm tar nahin
mere alawa ghair se har dam hain ham-kalam
kaise yaqin kar lun ki wo saudagar nahin
daulat thi apne pas to sab log sath the
tanha hai 'mahshar' aaj koi ham-safar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.