main hun na-murad wafa-e-gham na to main nasib-e-bahaar hun
main hun na-murad wafa-e-gham na to main nasib-e-bahaar hun
Chhabi Saksena Sahai Saba
MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba
maiñ huuñ nā-murād vafā-e-ġham na to maiñ nasīb-e-bahār huuñ
jo na khil sake vahī gul huuñ maiñ ki chaman kā maiñ vo figār huuñ
mire ġham kī rāhoñ se na mirā kabhī hasratoñ kā sirā milā
maiñ mohabbatoñ kī galī meñ gum huā justujū kā ġhubār huuñ
mere dil se guzrī jo aaj tak vo havā thī terī talāsh meñ
tujhe dekh kar jo bikhar gayā maiñ vo TuuTe dil kā qarār huuñ
merī aañkh se jo Tapak ga.e vo the motī terī hī yaad ke
jo chhupā ke bhī na chhupā sakā vo tire sitam kā shumār huuñ
tujhe pā ke bhī tujhe kho diyā maiñ ne ḳhud ko hī yuuñ gañvā diyā
mujhe naaz hai mere dil ke apnī vafā kā maiñ hī ḳhumār huuñ
terī talḳh bātoñ se juḌ gayā 'sabā' naam merā bhī is tarah
ki abhī abhī kisī ġhair se sunā aib kā maiñ dayār huuñ
main hun na-murad wafa-e-gham na to main nasib-e-bahaar hun
jo na khil sake wahi gul hun main ki chaman ka main wo figar hun
mere gham ki rahon se na mera kabhi hasraton ka sira mila
main mohabbaton ki gali mein gum hua justuju ka ghubar hun
mere dil se guzri jo aaj tak wo hawa thi teri talash mein
tujhe dekh kar jo bikhar gaya main wo TuTe dil ka qarar hun
meri aankh se jo Tapak gae wo the moti teri hi yaad ke
jo chhupa ke bhi na chhupa saka wo tere sitam ka shumar hun
tujhe pa ke bhi tujhe kho diya main ne KHud ko hi yun ganwa diya
mujhe naz hai mere dil ke apni wafa ka main hi KHumar hun
teri talKH baaton se juD gaya 'saba' nam mera bhi is tarah
ki abhi abhi kisi ghair se suna aib ka main dayar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.