main hun wahshat mein gum main teri duniya mein nahin rahta
main hun wahshat mein gum main teri duniya mein nahin rahta
Zaheer Kashmiri
MORE BYZaheer Kashmiri
maiñ huuñ vahshat meñ gum maiñ terī duniyā meñ nahīñ rahtā
bagūlā raqs meñ rahtā hai sahrā meñ nahīñ rahtā
baḌī muddat se terā husn dil bin kar dhaḌaktā hai
baḌī muddat se dil terī tamannā meñ nahīñ rahtā
ye paanī hai magar mizhgāñ kī shāḳhoñ par sulagtā hai
ye motī hai magar dāmān-e-dariyā meñ nahīñ rahtā
vo jalva jo sukūt-e-bazm-e-yaktā.ī meñ rahtā hai
vo jalva shorish-e-pinhāñ-o-paidā meñ nahīñ rahtā
na koī mauj-e-ra.anā.ī na koī sail-e-zebā.ī
koī tūfāñ bhī ab chashm-e-tamāshā meñ nahīñ rahtā
'ajab kyā lā-makāñ ko ik nayā zindāñ samajh baiThe
ye dīvāna had-e-imroz-o-fardā meñ nahīñ rahtā
'zahīr' ik rishta-e-vahshat liye phirtā hai majnūñ ko
vagarna koī apne aap sahrā meñ nahīñ rahtā
main hun wahshat mein gum main teri duniya mein nahin rahta
bagula raqs mein rahta hai sahra mein nahin rahta
baDi muddat se tera husn dil bin kar dhaDakta hai
baDi muddat se dil teri tamanna mein nahin rahta
ye pani hai magar mizhgan ki shaKHon par sulagta hai
ye moti hai magar daman-e-dariya mein nahin rahta
wo jalwa jo sukut-e-bazm-e-yaktai mein rahta hai
wo jalwa shorish-e-pinhan-o-paida mein nahin rahta
na koi mauj-e-ranai na koi sail-e-zebai
koi tufan bhi ab chashm-e-tamasha mein nahin rahta
'ajab kya la-makan ko ek naya zindan samajh baiThe
ye diwana had-e-imroz-o-farda mein nahin rahta
'zahir' ek rishta-e-wahshat liye phirta hai majnun ko
wagarna koi apne aap sahra mein nahin rahta
- Book : Pakistani Adab (Pg. 593)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.