main hun wo rind mere jate hi mai-KHane mein
main hun wo rind mere jate hi mai-KHane mein
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
maiñ huuñ vo rind mire jaate hī mai-ḳhāne meñ
muñh surāhī bhī chhupāne lagī paimāne meñ
vaah kyā vahshat-e-dil hai ki ilāhī tauba
ghar meñ rahtā huuñ magar rahtā huuñ vīrāne meñ
jin se ummīd maiñ rakhtā huuñ hazāroñ afsos
mere ghar tak bhī takalluf hai unheñ aane meñ
shaiḳh jī aaj to dastār-e-fazīlat bhī nahīñ
rehn kyā us ko bhī rakh aa.e ho mai-ḳhāne meñ
dard sar kā hai bahāna to kabhī mehñdī kā
roz ik uzr hai un ko mire ghar aane meñ
main hun wo rind mere jate hi mai-KHane mein
munh surahi bhi chhupane lagi paimane mein
wah kya wahshat-e-dil hai ki ilahi tauba
ghar mein rahta hun magar rahta hun virane mein
jin se ummid main rakhta hun hazaron afsos
mere ghar tak bhi takalluf hai unhen aane mein
shaiKH ji aaj to dastar-e-fazilat bhi nahin
rehn kya us ko bhi rakh aae ho mai-KHane mein
dard sar ka hai bahana to kabhi mehndi ka
roz ek uzr hai un ko mere ghar aane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.