main hun zinda bas is fasane tak
maiñ huuñ zinda bas is fasāne tak
yaad aane se bhuul jaane tak
tum anā meñ gañvā rahe ho magar
mujh ko DhūñDoge tum zamāne tak
ḳhud bhī apnā vaqār kho doge
mujh ko tā-der āzmāne tak
apnā dāman na tum jalā baiTho
dekhnā merā dil jalāne tak
hausla hai mujhe satāne kā
ro na denā mujhe rulāne tak
zindagī kyā hai kab ḳhabar thī mujhe
zindagī meñ tumhāre aane tak
main hun zinda bas is fasane tak
yaad aane se bhul jaane tak
tum ana mein ganwa rahe ho magar
mujh ko DhunDoge tum zamane tak
KHud bhi apna waqar kho doge
mujh ko ta-der aazmane tak
apna daman na tum jala baiTho
dekhna mera dil jalane tak
hausla hai mujhe satane ka
ro na dena mujhe rulane tak
zindagi kya hai kab KHabar thi mujhe
zindagi mein tumhaare aane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.