main ek bahta dariya hun
maiñ ik bahtā dariyā huuñ
lekin kitnā pyāsā huuñ
raah meñ gum-sum baiThā huuñ
ik ik kā muñh taktā huuñ
tujh ko apnā kahtā huuñ
kitnā bholā-bhālā huuñ
dhuup meñ taptā sahrā huuñ
janam janam kā pyāsā huuñ
phir tujh tak lauT aayā huuñ
shāyad khoTā sikka huuñ
aksar tere baare meñ
sapne dekhā kartā huuñ
tū bhī ek khilaunā hai
maiñ bhī ek khilaunā huuñ
merī fitrat chāñd sī hai
ghaTtā baḌhtā rahtā huuñ
bachchoñ kī farmā.ish par
jhūTe va.ade kartā huuñ
yaaro kuchh dam lene do
duur se chal kar aatā huuñ
mustaqbil ke baare meñ
kyā kyā sochā kartā huuñ
'tāhir' ghar kī chaukhaT par
jaane kyoñ chup baiThā huuñ
main ek bahta dariya hun
lekin kitna pyasa hun
rah mein gum-sum baiTha hun
ek ek ka munh takta hun
tujh ko apna kahta hun
kitna bhola-bhaala hun
dhup mein tapta sahra hun
janam janam ka pyasa hun
phir tujh tak lauT aaya hun
shayad khoTa sikka hun
aksar tere bare mein
sapne dekha karta hun
tu bhi ek khilauna hai
main bhi ek khilauna hun
meri fitrat chand si hai
ghaTta baDhta rahta hun
bachchon ki farmaish par
jhuTe wade karta hun
yaro kuchh dam lene do
dur se chal kar aata hun
mustaqbil ke bare mein
kya kya socha karta hun
'tahir' ghar ki chaukhaT par
jaane kyon chup baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.