main ek ik aashna se aashna hun
maiñ ik ik āshnā se āshnā huuñ
ḳhulūs un meñ hai kitnā jāntā huuñ
tirī baat aa.ī thī lab par zarā sī
zamāne bhar kī bāteñ sun rahā huuñ
ye koī jānī-pahchānī jagah hai
achānak chalte chalte ruk gayā huuñ
tamāshā hai ye merī be-ḳhudī kā
maiñ apne aap meñ gum ho gayā huuñ
mirī āñkheñ haiñ goyā un kī āñkheñ
jidhar vo dekhte hoñ dekhtā huuñ
tire ḳhvāboñ kī duniyā sāmne hai
maiñ jhūTī niiñd shāyad so rahā huuñ
tire kūche meñ mela lag rahā hai
maiñ ik vīrān raste par khaḌā huuñ
ye mil kar phir kabhī miltī nahīñ haiñ
tirī nazroñ ko maiñ pahchāntā huuñ
sitam ho yā karam ai 'charḳh' kuchh ho
mohabbat kā maiñ sadqa ban gayā huuñ
main ek ek aashna se aashna hun
KHulus un mein hai kitna jaanta hun
teri baat aai thi lab par zara si
zamane bhar ki baaten sun raha hun
ye koi jaani-pahchani jagah hai
achanak chalte chalte ruk gaya hun
tamasha hai ye meri be-KHudi ka
main apne aap mein gum ho gaya hun
meri aankhen hain goya un ki aankhen
jidhar wo dekhte hon dekhta hun
tere KHwabon ki duniya samne hai
main jhuTi nind shayad so raha hun
tere kuche mein mela lag raha hai
main ek viran raste par khaDa hun
ye mil kar phir kabhi milti nahin hain
teri nazron ko main pahchanta hun
sitam ho ya karam ai 'charKH' kuchh ho
mohabbat ka main sadqa ban gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.