main ek kashakash-e-ummid-o-bim tak pahuncha
maiñ ik kashākash-e-ummīd-o-bīm tak pahuñchā
kabhī tapish kabhī mauj-e-nasīm tak pahuñchā
har ek gaam pe tahqīq chāhtī thī ḳhirad
bhaTak gayā to rah-e-mustaqīm tak pahuñchā
mirī nigāh ne dil meñ tire utaar diyā
vo lafz jo na zabān-e-kalīm tak pahuñchā
tumhārī yaad ne maazī kā ruup dohrāyā
ye sāz-e-nau bhī navā-e-qadīm tak pahuñchā
liye charāġh-e-shanāsā.ī maiñ jidhar bhī gayā
muġhā.irat ke dayār-e-azīm tak pahuñchā
payām ban ke mirī zindagī kī jānib se
nafas nafas mire dil ke muqīm tak pahuñchā
ḳhushī vo lafz ki guzrā jo ma.anaviyyat se
to mere ġham kī kitāb-e-zaḳhīm tak pahuñchā
mire shu.ūr meñ shāmil rahā talab kā junūñ
maiñ shahr-e-gul meñ jo pahuñchā shamīm tak pahuñchā
jo barqarār salāmat-ravī rahī 'nāzish'
koī harīf na tab-e-salīm tak pahuñchā
main ek kashakash-e-ummid-o-bim tak pahuncha
kabhi tapish kabhi mauj-e-nasim tak pahuncha
har ek gam pe tahqiq chahti thi KHirad
bhaTak gaya to rah-e-mustaqim tak pahuncha
meri nigah ne dil mein tere utar diya
wo lafz jo na zaban-e-kalim tak pahuncha
tumhaari yaad ne mazi ka rup dohraya
ye saz-e-nau bhi nawa-e-qadim tak pahuncha
liye charagh-e-shanasai main jidhar bhi gaya
mughairat ke dayar-e-azim tak pahuncha
payam ban ke meri zindagi ki jaanib se
nafas nafas mere dil ke muqim tak pahuncha
KHushi wo lafz ki guzra jo manawiyyat se
to mere gham ki kitab-e-zaKHim tak pahuncha
mere shuur mein shamil raha talab ka junun
main shahr-e-gul mein jo pahuncha shamim tak pahuncha
jo barqarar salamat-rawi rahi 'nazish'
koi harif na tab-e-salim tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.