main ek nida se hara-bhara hun
maiñ ik nidā se harā-bharā huuñ
tirī du'ā se harā-bharā huuñ
tire liye jo rahī hai dil meñ
usī vafā se harā-bharā huuñ
bas ek āvāz hai zarūrī
bas ik sadā se harā-bharā huuñ
kamāl-e-dīda se tar-ba-tar hai
maiñ kis qazā se harā-bharā huuñ
har aarzū ko huuñ zinda rakhtā
kisī fanā se harā-bharā huuñ
'umar' tasavvur meñ shirk kab hai
maiñ ik ḳhudā se harā-bharā huuñ
main ek nida se hara-bhara hun
teri du'a se hara-bhara hun
tere liye jo rahi hai dil mein
usi wafa se hara-bhara hun
bas ek aawaz hai zaruri
bas ek sada se hara-bhara hun
kamal-e-dida se tar-ba-tar hai
main kis qaza se hara-bhara hun
har aarzu ko hun zinda rakhta
kisi fana se hara-bhara hun
'umar' tasawwur mein shirk kab hai
main ek KHuda se hara-bhara hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.