main ek shair hun asrar-e-haqiqat khol sakta hun
maiñ ik shā.ir huuñ asrār-e-haqīqat khol saktā huuñ
nidā-e-ġhaib ban kar sab ke dil meñ bol saktā huuñ
ḳhudā ne jis tarah kholā hai mere dil kī āñkhoñ ko
yūñhī maiñ har kisī ke dil kī āñkheñ khol saktā huuñ
vadī.at kī hai qudrat ne vo mīzān-e-nazar mujh ko
ki ḳhūb-o-zisht aalam ko ba-ḳhūbī taul saktā huuñ
qanā.at kā ye aalam hai ki musht-e-ḳhāk ke badle
javāhar ko bhī miTTī meñ ḳhushī se rol saktā huuñ
main ek shair hun asrar-e-haqiqat khol sakta hun
nida-e-ghaib ban kar sab ke dil mein bol sakta hun
KHuda ne jis tarah khola hai mere dil ki aankhon ko
yunhi main har kisi ke dil ki aankhen khol sakta hun
wadiat ki hai qudrat ne wo mizan-e-nazar mujh ko
ki KHub-o-zisht aalam ko ba-KHubi taul sakta hun
qanaat ka ye aalam hai ki musht-e-KHak ke badle
jawahar ko bhi miTTi mein KHushi se rol sakta hun
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 184)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.