main in hasin nazaron ke pas aa na saka
maiñ in hasīn nazāroñ ke paas aa na sakā
ḳhizāñ-nasīb bahāroñ ke paas aa na sakā
rahā falak pe sitāroñ meñ jalva gar mahtāb
vo apne sīna-fagāroñ ke paas aa na sakā
tamām umr rahā ham-kanār maujoñ se
safīna apnā kināroñ ke paas aa na sakā
gadā-e-ishq kī daulat thī fiqah-o-istiġhnā
vo māl-o-zar ke sahāroñ ke paas aa na sakā
jahāñ meñ aam ġham-e-rozgār thā 'nayyar'
magar vo ishq ke māroñ ke paas aa na sakā
main in hasin nazaron ke pas aa na saka
KHizan-nasib bahaaron ke pas aa na saka
raha falak pe sitaron mein jalwa gar mahtab
wo apne sina-fagaron ke pas aa na saka
tamam umr raha ham-kanar maujon se
safina apna kinaron ke pas aa na saka
gada-e-ishq ki daulat thi fiqah-o-istighna
wo mal-o-zar ke sahaaron ke pas aa na saka
jahan mein aam gham-e-rozgar tha 'nayyar'
magar wo ishq ke maron ke pas aa na saka
- Sher-o-hikmata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.