main is KHayal se sharmindagi mein Dub gaya
maiñ is ḳhayāl se sharmindagī meñ Duub gayā
ki mere hote hue vo nadī meñ Duub gayā
sabhī ko hijr meñ dil to kahīñ lagānā thā
koī sharāb koī shā.erī meñ Duub gayā
nihārtā rahā dariyā vo der tak baiThā
phir us ke baa'd uThā aur usī meñ Duub gayā
jise jahān kī rangīniyāñ Dubo na sakīñ
vo dil kisī kī faqat sādgī meñ Duub gayā
vo hañs rahā thā mire saath phir achānak hī
na jaane kyā huā sanjīdgī meñ Duub gayā
talāsh karte haiñ tahzīb is sadī meñ aap
ye āftāb to pichhlī sadī meñ Duub gayā
hai us ke ranj kā kuchh ilm tujh ko ai sūraj
jo ik sitārā tirī raushnī meñ Duub gayā
kisī ne daad na dī der tak to samjhā maiñ
har ek shaḳhs mirī shā.erī meñ Duub gayā
kisī ne ham ko pukārā thā jaan kah ke 'sirāj'
to rom-rom hamārā ḳhushī meñ Duub gayā
main is KHayal se sharmindagi mein Dub gaya
ki mere hote hue wo nadi mein Dub gaya
sabhi ko hijr mein dil to kahin lagana tha
koi sharab koi shaeri mein Dub gaya
nihaarta raha dariya wo der tak baiTha
phir us ke ba'd uTha aur usi mein Dub gaya
jise jahan ki ranginiyan Dubo na sakin
wo dil kisi ki faqat sadgi mein Dub gaya
wo hans raha tha mere sath phir achanak hi
na jaane kya hua sanjidgi mein Dub gaya
talash karte hain tahzib is sadi mein aap
ye aaftab to pichhli sadi mein Dub gaya
hai us ke ranj ka kuchh ilm tujh ko ai suraj
jo ek sitara teri raushni mein Dub gaya
kisi ne dad na di der tak to samjha main
har ek shaKHs meri shaeri mein Dub gaya
kisi ne hum ko pukara tha jaan kah ke 'siraj'
to rom-rom hamara KHushi mein Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.