main is liye bhi kisi se wafa nahin karta
maiñ is liye bhī kisī se vafā nahīñ kartā
nahīñ hai aisā koī jo daġhā nahīñ kartā
tumhāre hisse meñ aaya huā diyā huuñ maiñ
diyā jo āñdhī se bilkul Darā nahīñ kartā
jahān-bhar kī dar-e-dil pe bhiiḌ ho lekin
sivā tire ye kisī par khulā nahīñ kartā
ye dekhnā hai ki iz.hār-e-ishq par mere
vo gul-badan mujhe haañ kartā yā nahīñ kartā
ab ik samar bhī nahīñ shajar-e-ḳhvāhishāt pe dost
maiñ tere baad kisī kī duā nahīñ kartā
maiñ tujh ko chāhtā huuñ lekin ek mushkil hai
kabhī kabhī mirā chāhā huā nahīñ kartā
mirī ḳhushī ke liye kuchh nahīñ kyā tū ne
tirī ḳhushī ke liye to maiñ kyā nahīñ kartā
main is liye bhi kisi se wafa nahin karta
nahin hai aisa koi jo dagha nahin karta
tumhaare hisse mein aaya hua diya hun main
diya jo aandhi se bilkul Dara nahin karta
jahan-bhar ki dar-e-dil pe bhiD ho lekin
siwa tere ye kisi par khula nahin karta
ye dekhna hai ki izhaar-e-ishq par mere
wo gul-badan mujhe han karta ya nahin karta
ab ek samar bhi nahin shajar-e-KHwahishat pe dost
main tere baad kisi ki dua nahin karta
main tujh ko chahta hun lekin ek mushkil hai
kabhi kabhi mera chaha hua nahin karta
meri KHushi ke liye kuchh nahin kya tu ne
teri KHushi ke liye to main kya nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.