main is se pahle ki bikhrun idhar udhar ho jaun
maiñ is se pahle ki bikhrūñ idhar udhar ho jā.ūñ
mujhe sambhāl le mumkin hai dar-ba-dar ho jā.ūñ
ye āb-o-tāb jo mujh meñ hai sab usī se hai
agar vo chhoḌ de mujh ko to maiñ khañDar ho jā.ūñ
mirī madad se khujūroñ kī fasl pakne lage
maiñ chāhtā huuñ ki sahrā kī dopahar ho jā.ūñ
maiñ ās-pās ke mausam se huuñ tar-o-tāza
maiñ apne jhunD se niklūñ to be-samar ho jā.ūñ
baḌī ajiib sī hiddat hai us kī yādoñ meñ
agar maiñ chhū luuñ pasīne se tar-ba-tar ho jā.ūñ
maiñ kachchī miTTī kī sūrat huuñ tere hāthoñ meñ
mujhe tū Dhaal de aise ki mo'atabar ho jā.ūñ
bachī-khuchī huī sāñsoñ ke saath pahuñchānā
suno havāo agar maiñ shikasta-par ho jā.ūñ
main is se pahle ki bikhrun idhar udhar ho jaun
mujhe sambhaal le mumkin hai dar-ba-dar ho jaun
ye aab-o-tab jo mujh mein hai sab usi se hai
agar wo chhoD de mujh ko to main khanDar ho jaun
meri madad se khujuron ki fasl pakne lage
main chahta hun ki sahra ki dopahar ho jaun
main aas-pas ke mausam se hun tar-o-taza
main apne jhunD se niklun to be-samar ho jaun
baDi ajib si hiddat hai us ki yaadon mein
agar main chhu lun pasine se tar-ba-tar ho jaun
main kachchi miTTi ki surat hun tere hathon mein
mujhe tu Dhaal de aise ki mo'atabar ho jaun
bachi-khuchi hui sanson ke sath pahunchana
suno hawao agar main shikasta-par ho jaun
- Book : Shahdaba (Pg. 18)
- Author : Munawwar Rana
- Publication : Maktaba Al- Faheem (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.