main isi KHak se hun ghar bhi isi KHak mein hai
maiñ isī ḳhaak se huuñ ghar bhī isī ḳhaak meñ hai
merī parvāz magar vus.at-e-aflāk meñ hai
kyā lagā.egā mire tāj-e-junūñ kī qīmat
kyā ba-juz sang-o-ḳhazaf dāman-e-idrāk meñ hai
abr ko aag bujhāne se jo baḌh kar roke
itnī parvāz kahāñ sho.ala-e-saffāk meñ hai
chāhiye hī nahīñ mujh ko koī shāhāna libās
merī izzat isī pairāhan-e-sad-chāk meñ hai
sādgī ne mujhe rakkhā na kahīñ kā varna
chāñd tāroñ kā jahāñ bhī mirī imlāk meñ hai
qaid kamre meñ rahūñ yā kisī maidāñ meñ rahūñ
aisā lagtā hai mujhe koī mirī taak meñ hai
jis ke hone pe nahīñ miltā hai dariyā kā mizāj
itnā paanī to mire dīda-e-namnāk meñ hai
apne dāman se chhuḌāyā thā kabhī tū ne jise
phir vahī rang numāyāñ tirī poshāk meñ hai
kyā koī la.al-e-badaḳhshāñ bhī chhupā hai 'yāvar'
raushnī kis liye itnī ḳhas-o-ḳhāshāk meñ hai
main isi KHak se hun ghar bhi isi KHak mein hai
meri parwaz magar wusat-e-aflak mein hai
kya lagaega mere taj-e-junun ki qimat
kya ba-juz sang-o-KHazaf daman-e-idrak mein hai
abr ko aag bujhane se jo baDh kar roke
itni parwaz kahan shoala-e-saffak mein hai
chahiye hi nahin mujh ko koi shahana libas
meri izzat isi pairahan-e-sad-chaak mein hai
sadgi ne mujhe rakkha na kahin ka warna
chand taron ka jahan bhi meri imlak mein hai
qaid kamre mein rahun ya kisi maidan mein rahun
aisa lagta hai mujhe koi meri tak mein hai
jis ke hone pe nahin milta hai dariya ka mizaj
itna pani to mere dida-e-namnak mein hai
apne daman se chhuDaya tha kabhi tu ne jise
phir wahi rang numayan teri poshak mein hai
kya koi lal-e-badaKHshan bhi chhupa hai 'yawar'
raushni kis liye itni KHas-o-KHashak mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.