main jagi hui ki soi hui hun
maiñ jaagī huī ki soī huī huuñ
ḳhayāloñ ke sahrā meñ khoī huī huuñ
laboñ par hañsī ruḳh pe shabnam ke qatre
maiñ khul kar hañsī huuñ ki roī huī huuñ
numū kis tarah ho mirī ḳhvāhishoñ kī
ki banjar zamīnoñ meñ boī huī huuñ
vo kaise nikālegā yādoñ se mujh ko
maiñ harf-e-duā meñ samoī huī huuñ
'sadaf' se guhar kar diyā us ne mujh ko
maiñ us kī laḌī meñ piroī huī huuñ
main jagi hui ki soi hui hun
KHayalon ke sahra mein khoi hui hun
labon par hansi ruKH pe shabnam ke qatre
main khul kar hansi hun ki roi hui hun
numu kis tarah ho meri KHwahishon ki
ki banjar zaminon mein boi hui hun
wo kaise nikalega yaadon se mujh ko
main harf-e-dua mein samoi hui hun
'sadaf' se guhar kar diya us ne mujh ko
main us ki laDi mein piroi hui hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.