main jaan gaya hun wo mera gham na karega
maiñ jaan gayā huuñ vo mirā ġham na karegā
achchhā hai mire ba.ad vo mātam na karegā
kyā koī karegā mire zaḳhmoñ kā mudāvā
jab merā lahū ḳhud mujhe marham na karegā
jaadū use aatā hai ye ma.alūm hai sab ko
jaadū se kisī shai ko vo darham na karegā
ab shaiḳh se ummīd muravvat kī na rakhnā
nazrāna nahīñ doge to vo dam na karegā
ghar sar pe uThā lene meñ aatā hai use lutf
ye shor bhī us kā mujhe barham na karegā
main jaan gaya hun wo mera gham na karega
achchha hai mere baad wo matam na karega
kya koi karega mere zaKHmon ka mudawa
jab mera lahu KHud mujhe marham na karega
jadu use aata hai ye malum hai sab ko
jadu se kisi shai ko wo darham na karega
ab shaiKH se ummid murawwat ki na rakhna
nazrana nahin doge to wo dam na karega
ghar sar pe uTha lene mein aata hai use lutf
ye shor bhi us ka mujhe barham na karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.