main jaanta hun ki ek din yahan se niklegi
maiñ jāntā huuñ ki ik din yahāñ se niklegī
hamārī ruuh badan ke makāñ se niklegī
tire fareb pe behtar hai maiñ ḳhamosh rahūñ
ki talḳh baat hī merī zabāñ se niklegī
jahāñ se aatī hai dozaḳh kī aag dhartī pe
ye chāñdnī bhī usī āsmāñ se niklegī
kaTī hai umr akele hī us musāfir kī
jise lagā thā parī dāstāñ se niklegī
main jaanta hun ki ek din yahan se niklegi
hamari ruh badan ke makan se niklegi
tere fareb pe behtar hai main KHamosh rahun
ki talKH baat hi meri zaban se niklegi
jahan se aati hai dozaKH ki aag dharti pe
ye chandni bhi usi aasman se niklegi
kaTi hai umr akele hi us musafir ki
jise laga tha pari dastan se niklegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.