Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jaanta hun ki sare bure nahin hote

Raakesh ulfat

main jaanta hun ki sare bure nahin hote

Raakesh ulfat

MORE BYRaakesh ulfat

    maiñ jāntā huuñ ki saare bure nahīñ hote

    magar ye sach hai ki sab ek se nahīñ hote

    mire paroñ meñ agar hausle nahīñ hote

    ye āsmāñ mere aage jhuke nahīñ hote

    mire sanam jo mujhe tum mile nahīñ hote

    sukūn-e-dil se mire rābte nahīñ hote

    zamīn paanī havā dekh bhalā sab kuchh hai

    na jaane kyoñ mere buuTe hare nahīñ hote

    ye terā qad hai jo rakhtā hai ahmiyat varna

    ḳhush-āmdīd ko saare jhuke nahīñ hote

    adālatoñ se juḌe saare dāvedāroñ meñ

    ye chuġhliyāñ haiñ sahī faisle nahīñ hote

    jo ho sake to zabāñ ko zarā saral rakhnā

    bahut se netā ziyāda paḌhe nahīñ hote

    mire ḳhudā ināyat agar nahīñ hotī

    mire charāġh havā meñ jale nahīñ hote

    tamām umr ka.ī log chhoTe rahte haiñ

    bulandiyoñ pe bhī kar baḌe nahīñ hote

    main jaanta hun ki sare bure nahin hote

    magar ye sach hai ki sab ek se nahin hote

    mere paron mein agar hausle nahin hote

    ye aasman mere aage jhuke nahin hote

    mere sanam jo mujhe tum mile nahin hote

    sukun-e-dil se mere rabte nahin hote

    zamin pani hawa dekh bhala sab kuchh hai

    na jaane kyon mere buTe hare nahin hote

    ye tera qad hai jo rakhta hai ahmiyat warna

    KHush-amdid ko sare jhuke nahin hote

    adalaton se juDe sare dawedaron mein

    ye chughliyan hain sahi faisle nahin hote

    jo ho sake to zaban ko zara saral rakhna

    bahut se neta ziyaada paDhe nahin hote

    mere KHuda ki inayat agar nahin hoti

    mere charagh hawa mein jale nahin hote

    tamam umr kai log chhoTe rahte hain

    bulandiyon pe bhi ja kar baDe nahin hote

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now