main jab bhi ganw apne lauTta hun
maiñ jab bhī gaañv apne lauTtā huuñ
kisī kī ruuh tishna dekhtā huuñ
ka.ī chehre shanāsā us galī ke
kise āvāz duuñ ye sochtā huuñ
utar aatā hai ḳhuuñ āñkhoñ meñ ab bhī
ga.e mausam meñ jab bhī jhāñktā huuñ
rakho bashshāsh chāhe ḳhud ko jitnā
tumhārī be-sukūnī jāntā huuñ
kināre lag chukī hai sab kī kashtī
akelā maiñ ubhartā Dūbtā huuñ
kiyā hai ḳhuun jis ne mere dil kā
usī kī shādmānī chāhtā huuñ
mire hisse meñ kyā aa.egā 'bismil'
duā bhī us kī ḳhātir māñgtā huuñ
main jab bhi ganw apne lauTta hun
kisi ki ruh tishna dekhta hun
kai chehre shanasa us gali ke
kise aawaz dun ye sochta hun
utar aata hai KHun aankhon mein ab bhi
gae mausam mein jab bhi jhankta hun
rakho bashshash chahe KHud ko jitna
tumhaari be-sukuni jaanta hun
kinare lag chuki hai sab ki kashti
akela main ubharta Dubta hun
kiya hai KHun jis ne mere dil ka
usi ki shadmani chahta hun
mere hisse mein kya aaega 'bismil'
dua bhi us ki KHatir mangta hun
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 41)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.