main jab bhi koi manzar dekhta hun
maiñ jab bhī koī manzar dekhtā huuñ
zarā auroñ se haT kar dekhtā huuñ
yahī shai munfarid kartī hai mujh ko
maiñ qatre meñ samundar dekhtā huuñ
bahut hangāma-e-ālam ko dekhā
zarā ḳhud meñ simaT kar dekhtā huuñ
jahān-e-be-karānī kā nazāra
utar kar apne andar dekhtā huuñ
mujhe jab dekhnā hotā hai ḳhud ko
tire nazdīk aa kar dekhtā huuñ
na jaane kitne sūraj haiñ daraḳhshāñ
añdherā phir bhī ghar ghar dekhtā huuñ
huā kartā thā taaza phuul jin meñ
ab un hāthoñ meñ ḳhanjar dekhtā huuñ
tumheñ hairat-zada but kar rahe haiñ
magar maiñ dast-e-āzar dekhtā huuñ
maiñ jab bhī dekhtā huuñ 'nūr' us ko
ye lagtā hai ki patthar dekhtā huuñ
main jab bhi koi manzar dekhta hun
zara auron se haT kar dekhta hun
yahi shai munfarid karti hai mujh ko
main qatre mein samundar dekhta hun
bahut hangama-e-alam ko dekha
zara KHud mein simaT kar dekhta hun
jahan-e-be-karani ka nazara
utar kar apne andar dekhta hun
mujhe jab dekhna hota hai KHud ko
tere nazdik aa kar dekhta hun
na jaane kitne suraj hain daraKHshan
andhera phir bhi ghar ghar dekhta hun
hua karta tha taza phul jin mein
ab un hathon mein KHanjar dekhta hun
tumhein hairat-zada but kar rahe hain
magar main dast-e-azar dekhta hun
main jab bhi dekhta hun 'nur' us ko
ye lagta hai ki patthar dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.