main jab tawahhumat se yaksar guzar gaya
maiñ jab tavahhumāt se yaksar guzar gayā
apnī hī shakl dekh ke kyoñ aaj Dar gayā
kal tak jo shor karte the ḳhāmosh ho ga.e
shāyad ki shahr meñ koī dīvāna mar gayā
be-aks aa.ina to kisī kaam kā na thā
pathrāv kyoñ huā ki vo TuuTā bikhar gayā
rāhoñ ne āñkheñ muuñd liiñ anjāne ḳhauf se
ik hādse ko saath liye vo jidhar gayā
hairān huuñ ki duur se aayā thā mere saath
apnī kahānī kah ke na jaane kidhar gayā
main jab tawahhumat se yaksar guzar gaya
apni hi shakl dekh ke kyon aaj Dar gaya
kal tak jo shor karte the KHamosh ho gae
shayad ki shahr mein koi diwana mar gaya
be-aks aaina to kisi kaam ka na tha
pathraw kyon hua ki wo TuTa bikhar gaya
rahon ne aankhen mund lin anjaane KHauf se
ek hadse ko sath liye wo jidhar gaya
hairan hun ki dur se aaya tha mere sath
apni kahani kah ke na jaane kidhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.