main jahan bhi hun wahin anjuman-arai hai
maiñ jahāñ bhī huuñ vahīñ anjuman-ārā.ī hai
ki mire saath mirā ālam-e-tanhā.ī hai
hasrat-e-āh bhī tauhīn-e-shakebā.ī hai
kyā mire dard kā mafhūm hī rusvā.ī hai
na tajallī na koī anjuman-ārā.ī hai
zindagī ek musalsal shab-e-tanhā.ī hai
maut hai qīmat-e-hastī koī in.aam nahīñ
jaan dī hai to hayāt-e-abadī paa.ī hai
DhūñDhte phirte haiñ yuuñ qāfile vaale mujh ko
jaise manzil mire hamrāh chalī aa.ī hai
sīna-e-gul meñ jo tūfāñ hai hameñ kyā mālūm
ham to itnā hī samajhte haiñ bahār aa.ī hai
rāz-e-nairang-e-chaman koī na samjhā 'shāhid'
maut phūloñ kī ba-unvān-e-bahār aa.ī he
main jahan bhi hun wahin anjuman-arai hai
ki mere sath mera aalam-e-tanhai hai
hasrat-e-ah bhi tauhin-e-shakebai hai
kya mere dard ka mafhum hi ruswai hai
na tajalli na koi anjuman-arai hai
zindagi ek musalsal shab-e-tanhai hai
maut hai qimat-e-hasti koi inam nahin
jaan di hai to hayat-e-abadi pai hai
DhunDhte phirte hain yun qafile wale mujh ko
jaise manzil mere hamrah chali aai hai
sina-e-gul mein jo tufan hai hamein kya malum
hum to itna hi samajhte hain bahaar aai hai
raaz-e-nairang-e-chaman koi na samjha 'shahid'
maut phulon ki ba-unwan-e-bahaar aai he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.