main jahan jaun mere sath chale sannaTa
maiñ jahāñ jā.ūñ mire saath chale sannāTā
merī āñkhoñ meñ lagātār jale sannāTā
sub.h aatī hai dabe paañv chalī jaatī hai
gher letā hai mujhe shaam Dhale sannāTā
bhāgtī bhiiḌ ke qadmoñ se lipaT kar ro.e
varna har sust musāfir ko chhale sannāTā
tum ḳhayālāt ke ḳhemoñ meñ simaT mat jaanā
jab sar-e-rāh kabhī haath male sannāTā
phir mire shahr meñ lauT aa.ī hai dahshat-gardī
phir har ik jism ke saa.e meñ pale sannāTā
ab makānoñ kī chhatoñ kā bhī nazāra kar lo
gungunātā hai sitāroñ ke tale sannāTā
āj-kal un ke Thikānoñ meñ baḌī halchal hai
kaash mere bhī shabistāñ se Tale sannāTā
main jahan jaun mere sath chale sannaTa
meri aankhon mein lagatar jale sannaTa
subh aati hai dabe panw chali jati hai
gher leta hai mujhe sham Dhale sannaTa
bhagti bhiD ke qadmon se lipaT kar roe
warna har sust musafir ko chhale sannaTa
tum KHayalat ke KHemon mein simaT mat jaana
jab sar-e-rah kabhi hath male sannaTa
phir mere shahr mein lauT aai hai dahshat-gardi
phir har ek jism ke sae mein pale sannaTa
ab makanon ki chhaton ka bhi nazara kar lo
gungunata hai sitaron ke tale sannaTa
aaj-kal un ke Thikanon mein baDi halchal hai
kash mere bhi shabistan se Tale sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.