main jahan panw dharne wala tha
maiñ jahāñ paañv dharne vaalā thā
ek sūraj ubharne vaalā thā
dil hī va.ada ḳhilāf niklā hai
varna maiñ kab mukarne vaalā thā
ek tūfān-e-chashm-o-āriz-o-lab
ā.inoñ se guzarne vaalā thā
tū ne dil ko bachā liyā varna
maiñ ise ḳharch karne vaalā thā
irtazā muskurā diyā ik dam
ghar kā manzar badalne vaalā thā
main jahan panw dharne wala tha
ek suraj ubharne wala tha
dil hi wada KHilaf nikla hai
warna main kab mukarne wala tha
ek tufan-e-chashm-o-ariz-o-lab
aainon se guzarne wala tha
tu ne dil ko bacha liya warna
main ise KHarch karne wala tha
irtaza muskura diya ek dam
ghar ka manzar badalne wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.