main jin ke samne jhukta nahin hun
maiñ jin ke sāmne jhuktā nahīñ huuñ
maiñ un ke vāste achchhā nahīñ huuñ
samundar se laḌā.ī chal rahī hai
abhī maiñ vāqa.ī Duubā nahīñ huuñ
kisī se hañs ke milnā bhī sitam hai
use lagtā hai maiñ us kā nahīñ huuñ
zamāne bhar ke laḌkoñ kī tarah maiñ
maiñ koshish bhī karūñ hotā nahīñ huuñ
tumheñ aage bhī paḌhnā chāhiye thā
maiñ laḌkī huuñ na sir laḌkā nahīñ huuñ
main jin ke samne jhukta nahin hun
main un ke waste achchha nahin hun
samundar se laDai chal rahi hai
abhi main waqai Duba nahin hun
kisi se hans ke milna bhi sitam hai
use lagta hai main us ka nahin hun
zamane bhar ke laDkon ki tarah main
main koshish bhi karun hota nahin hun
tumhein aage bhi paDhna chahiye tha
main laDki hun na sir laDka nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.