main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke
maiñ jinheñ fareb samjhūñ tirī yād-e-mehrbāñ ke
vo charāġh bujh ga.e haiñ mirī umr-e-jāvedāñ ke
na ye lāla-zār apne na ye rahguzār apnī
vahī ghar zamīñ ke nīche vahī ḳhvāb āsmāñ ke
ye piyāla hai ki dil hai ye sharāb hai ki jaañ hai
ye daraḳht haiñ ki saa.e kisī dast-e-mehrbāñ ke
mujhe yaad aa rahe haiñ vo charāġh jin ke saa.e
kabhī dostoñ ke chehre kabhī daaġh raftagāñ ke
main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke
wo charagh bujh gae hain meri umr-e-jawedan ke
na ye lala-zar apne na ye rahguzar apni
wahi ghar zamin ke niche wahi KHwab aasman ke
ye piyala hai ki dil hai ye sharab hai ki jaan hai
ye daraKHt hain ki sae kisi dast-e-mehrban ke
mujhe yaad aa rahe hain wo charagh jin ke sae
kabhi doston ke chehre kabhi dagh raftagan ke
- Book : chaar khvaab (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.