main jis din se akeli ho gai hun
maiñ jis din se akelī ho ga.ī huuñ
maiñ kaisī thī maiñ kaisī ho ga.ī huuñ
nahīñ kuchh yaad rahtā haiñ mujhe ab
bichhaḌ kar tum se paglī ho ga.ī huuñ
tasavvur ne tire mujh ko chhuā phir
achānak se maiñ achchhī ho ga.ī huuñ
tirā ġham mujh ko raas aane lagā hai
bikhar kar phir ikaTThī ho ga.ī huuñ
pareshānī ye mujh se hañs ke bolī
tire ghar kī maiñ bachchī ho ga.ī huuñ
jo merā ho ke merā ho na paayā
na ho kar bhī usī kī ho ga.ī huuñ
mujhe phir lauT ke jaanā hai us tak
jo merā thā usī kī ho ga.ī huuñ
jise dekho vo hī kahtā hai mujh se
sarāpā ik udāsī ho ga.ī huuñ
'siyā' kuchh din se bojhal hai bahut dil
maiñ ro ro kar ke halkī ho ga.ī huuñ
main jis din se akeli ho gai hun
main kaisi thi main kaisi ho gai hun
nahin kuchh yaad rahta hain mujhe ab
bichhaD kar tum se pagli ho gai hun
tasawwur ne tere mujh ko chhua phir
achanak se main achchhi ho gai hun
tera gham mujh ko ras aane laga hai
bikhar kar phir ikaTThi ho gai hun
pareshani ye mujh se hans ke boli
tere ghar ki main bachchi ho gai hun
jo mera ho ke mera ho na paya
na ho kar bhi usi ki ho gai hun
mujhe phir lauT ke jaana hai us tak
jo mera tha usi ki ho gai hun
jise dekho wo hi kahta hai mujh se
sarapa ek udasi ho gai hun
'siya' kuchh din se bojhal hai bahut dil
main ro ro kar ke halki ho gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.