main jo apni jaan se jaane wala hun
maiñ jo apnī jaan se jaane vaalā huuñ
lagtā hai kuchh kaam dikhāne vaalā huuñ
nā-ummīd na honā is tāḳhīr se tum
Thero ek zarā maiñ aane vaalā huuñ
mujh ko apnī rah pe bulāne vaale sun
maiñ to ḳhud ik raah banāne vaalā huuñ
dekh parakh kar aag meñ rakkhūñgā maiñ paañv
soch samajh kar dhokā khāne vaalā huuñ
maiñ jo aañkh meñ paanī bhar kar baiThā huuñ
andar kī ik aag bujhāne vaalā huuñ
main jo apni jaan se jaane wala hun
lagta hai kuchh kaam dikhane wala hun
na-ummid na hona is taKHir se tum
Thero ek zara main aane wala hun
mujh ko apni rah pe bulane wale sun
main to KHud ek rah banane wala hun
dekh parakh kar aag mein rakkhunga main panw
soch samajh kar dhoka khane wala hun
main jo aankh mein pani bhar kar baiTha hun
andar ki ek aag bujhane wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.