main jo bad-hawas tha mahw-e-qayas tum bhi the
maiñ jo bad-havās thā mahv-e-qayās tum bhī the
bichhaḌte vaqt zarā sā udaas tum bhī the
badalte vaqt kā manzar thā sab kī āñkhoñ meñ
misāl maiñ thā agar iqtibās tum bhī the
mujhe to daar milā tum ko kaise taḳht milā
sunā hai merī tarah haq-shanās tum bhī the
tumhāre hoñT se ḳhushiyāñ chhalak ga.iiñ kaise
uThā.e haath meñ ḳhālī gilās tum bhī the
akelā-pan pe ka.ī sher kah diye maiñ ne
ye aur baat mire aas paas tum bhī the
main jo bad-hawas tha mahw-e-qayas tum bhi the
bichhaDte waqt zara sa udas tum bhi the
badalte waqt ka manzar tha sab ki aankhon mein
misal main tha agar iqtibas tum bhi the
mujhe to dar mila tum ko kaise taKHt mila
suna hai meri tarah haq-shanas tum bhi the
tumhaare honT se KHushiyan chhalak gain kaise
uThae hath mein KHali gilas tum bhi the
akela-pan pe kai sher kah diye main ne
ye aur baat mere aas pas tum bhi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.