main jo chahun bhi to aisa nahin hone degi
maiñ jo chāhūñ bhī to aisā nahīñ hone degī
tū mujhe aur kisī kā nahīñ hone degī
tirī āvāz jagā.egī samā.at meñ fusūñ
terī sūrat mujhe andhā nahīñ hone degī
baap koī bhī musībat nahīñ aane degā
maañ mire dil meñ añdherā nahīñ hone degī
roz aa jaatā hai mujh ko koī massage us kā
ya.anī vo ġham kā izāla nahīñ hone degī
ik tavā.if jo jalātī hai badan se chūlhā
apnī beTī ko afīfa nahīñ hone degī
tū mirī maan kisī aur se shādī kar le
merī ġhurbat to ye rishta nahīñ hone degī
vo judā ho bhī agar hogī salīqe se 'alī'
ya.anī dhoke ko tamāshā nahīñ hone degī
main jo chahun bhi to aisa nahin hone degi
tu mujhe aur kisi ka nahin hone degi
teri aawaz jagaegi samaat mein fusun
teri surat mujhe andha nahin hone degi
bap koi bhi musibat nahin aane dega
man mere dil mein andhera nahin hone degi
roz aa jata hai mujh ko koi massage us ka
yani wo gham ka izala nahin hone degi
ek tawaif jo jalati hai badan se chulha
apni beTi ko afifa nahin hone degi
tu meri man kisi aur se shadi kar le
meri ghurbat to ye rishta nahin hone degi
wo juda ho bhi agar hogi saliqe se 'ali'
yani dhoke ko tamasha nahin hone degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.